Thursday, January 15, 2009

apnapan to hai

99galleries.com


|
ish mahul me kaise sab log yaha kis tarah jee lete hai
kyu gam ke anshu ka dariya aankho se sab pee lete hai
kyu ghutan bhari si jindegi ko apna har koi leta hai
kyu machi yaha chheena jhapati sapna apna kar leni ki
kyu sapne huye sab juda juda kyu apne bhi hai kafa yaha
kya log yaha ke samajhe nahi hai gareeb ke sapne yaha
palte hai jin aankho me wo ankhe nahi sabki juda
hai sabka iswar ek yaha hai sabki manjil nek yaha
tum chah jaha raho magar dil me baste ho sabke yaha
ye wo watan hai wo desh hai jise sabne hindustan kaha

ummeed

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiESCAQb5t1rDW7TSsnlToUJjIfiioa68tH0z_dBgOlsEwjXfv-aODmJn__-IDjLYGOi-Dt1ag8enMbNem2SHei9ogM3c9Sw2Mv82BNgUS8f8pQSUVWQDMuXl8348xBLP4im65-wYzJrw4/s400/21112008(002).jpg






tujhe dekha to ye ahesash huaa man ke agan me kuchh khash huaa
teri aankho me ajab si kasis dikhi jaise mere dil ko tune chhuaa
tujhe dekh dekh ke jeeta leta hu ab man ke anshu sab pee leta hu
teri neeli ankho ki in gah rahio me samudra si mujhe gahrai dikhi
tum jaan pao ya na jaan pao ab to mujhe tujme hi apni heer dikhi
kya kahe kya na kahe subhi tumhse tum samjh ke bhi na samajh rahe
aa bhi jao is jeewan me ab hum bhi nadi ki dhara me ek saath bahe

man ki udhan

99galleries.com


|







tum pari lok se aayee thi,aaankho me sapne layee thi
tum dard se thi sahmi huee,labo se bhi tum pyasi thi
humne tumhare tan ko chhuha,tumne mere man ko chhuha
maine tan pe marham jo diya,tumne mujhe apnapan diya
tumne man ko samajh liya,jab mere baho me kaid huee
phir haule-haule hasne lagi,sansho me mere basne lagi
kyu tum hoke mujhse unmukt ,aakash me udhna chahti ho
ab kyu tum mere sapne todhke mujhse ajad hona chahti ho
kya mila nahi sukun tumko yaha ab kya aur pana chati ho
kyu mujhko akela bejan chodh aasman me udhna chahti ho
ab ek gujarish hai is dil ki tum samjh sako samajh jao
man ka agan hai bahut badha ishme tum udho swatrant yaha
mat chodh mujhe to tum jane ki socho ab laut bhi aao ab................

Wednesday, January 14, 2009

wakt bewakt

aaj phir mera yaar mujhse aisa kuchh kah gaya
aaj phir uski aankho ka samunder bah gaya
chaha to bahut rok saku uske aansuo ko
par chah ke bhi mai bas use dekhta rah gaya
ye subhi ab kaise samjhau is nadan dil ko
ye samajh ke bhi nasamajh ban ke rah gaya
kyu kerta hai jid har wakt bewakt yaha
ishe kya maloom ye wakt bhi sochta rah gaya
ab na kar ummeed kuch bhi milne ki yaha
tune diya hi kya aur pane ko ab kya rah gaya

mera mannnnnnn

tujhe dekh mera man u bahak gaya
jaise jaam koi hatho se jhalak gaya
khata kiski thi nahi maloom mujhe
par tu meri ankho se kuchh kah gaya
ham talash me rahe kisi ki chah me
na chah ke bhi ye dil kuch kah gaya
phir kab miloge mujhe maloom nahi
jate huye dekh tujhe dekhta rah gaya
intzar hai bas ab to tera har pal mujhe
mere sabra ka bandh na jane kab bah gaya

Tuesday, January 6, 2009

choo lo mera har pal

tum chhoo lo mere man ko to mai jee lu is jeewan ko
tum saya ban gar sath raho tosamjhau mai is man ko
kyu na jeene ki jid ker ye kahta hai mujhse her pal
tum aa jao ger is jeewan me mai jeelu ishka her pal
ek saath tumhara paker ye kahta hai mujhse her pal
ban jao meet mere tum to mai mahka du tera har pal

Sunday, January 4, 2009

jeene ki kosis........

jab bhi maine tere bina jeena chaha
jeene ne bin tere bas marna chaha
u jeewan maran ke beech mai raha
tum se sikwa hai na koi sikayat hai
bas ek wada tha jo ab mai todh raha
jeene ki tamanna nahi hai tere bin
ab tere bin ye jeena mai chodh raha
kya karuga mai ji kar ish jeewan ko
jab pass hoker bhi tumse door raha
aao ek baar bhir bidai ker do meri
bas ab mai ja tumse bahut door raha............

AHESHASH.......

kya chaha kya nahi jindgi se kabhi kuchh paya nahi
kuchh mila jindgi se na samajh tha samajh na paya
par ab jarurat hai ek ahesash ki
jo har pal mere sath rahe
jo har pal mujhe yaad rahe
jo her mushkil me thame mera hath rahe
mujhe talash hai bas mujhe uski talash hai
ab mangu bhi to kisse mangu ?
koi mujhe najar aata nahi.
bas ek tum ho sirf tum ho
ek tum hi to ho.............
MERA AHESASH JO SADA RAHE MERE PASS

man ki peedha

ek peedha thi mere man me
ek sapna tha jeewan me
kab sapne huye titer biter
kab apne ho gaye idher udher
man kuchh samajh na paya ishe
sab khoya maine tab paya tujhe
phir kyu tujhe khone ka dar mujhe
ye peedha hai kyu hai ye dard mujhe