ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise
rat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise
dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise
muskurate hain pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise
ab agar dub gaye bhi to marenge na ?
bahte pani pe mera nam likha ho jaise

No comments:
Post a Comment