Monday, November 23, 2009

ये जिन्दगी

zindagi tujh ko jiya hai koi afsos nahin
zahar khud maine piya hai koi afsos nahin


maine mujrim ko bhi mujrim na kaha duniya mein
bas yahi jurm kiya hai koi afsos nahin


meri qismat mein likhe the ye unhi ke aansoo
dil ke zakhmon ko siya hai koi afsos nahin


ab gire sang ki sheeshon ki ho baarish
ab kafan odh liya hai koi afsos nahin

No comments:

Post a Comment