Monday, November 23, 2009

inayat

zakhm jo aap ki inaayat hai
iss nishani ko kya naam dein hum


pyaar deewar ban ke rah gayaa hai
iss kahani ko kya naam dein hum


aap ilzaam dhar gaye hum par
ek ehsaan kar gaye hum par


aap ki ye meharbani hai
meharbani ko kya naam dein hum


aap ko yun hi zindagi samjha
dhoop ko humne chaandni samjha


bhool hi bhool jis ki aadat hai
iss jawani ko naam kya dein hum


raat sapna bahaar ka dekha
din hua toh gubaar sa dekha


bewafaa waqt bezuban nikla
bezubani ko naam kya dein hum

No comments:

Post a Comment